Translate

Sunday, June 5, 2011

sajaa

puchh le khuda se humne tere liye dua maangi hai,
puchh le hawaa se humne tere liye fizaa maangi hai.
jab bhi huyi tumse koi galti ..,
humne teri jagah apne liye sazaa maangi hai....

gam-e-mohabbat

meri mohabbat ki itni si kahaani hai,
tuti huyi kasti aur ruka hua paani hai.
ek GULAAB jo unki kitaab mein dam tod chuka hai,
aur unko yaad hi nahi ye kiski nishaani hai.

dard

alvida kahkar jab woh chal diye,
in aankhon ne saare haseen khwaab kho diye.
gham ye nahi ki wo mujhe chhod gaye,
dard to tab hua jab alvida kahkar woh khud ro diye...

duriyaan

jo najdik ho wahi door hua karte hain,
door ho to mazboor hua karte hain.
tum na samjho to tumhara koi kasoor nahi...
naasamajh log bekasoor hua karte hain.

gajab

mere haal pe unka muskurana gazab tha,
bina baat mujhe unka sataana gazab tha.
milne ki baat chali to bahaana bana diya...,
aur bina vaade ke unka aana gazab tha...

khwahish

teri ek nazar ka pyasa hu main,
tu naa jaane kaisa tut ta taara hu main.
khwaahishein puri kar di maine sabhi ki...
par apni mohabbat ko paane ko aaj bhi haara hu main...

Friday, June 3, 2011

yaad

woh khamosh hai itna ki bahaane bhul aaya hu,
kisi ki ek tarannum mein taraane bhul aaya hu.
meri raah mat takna kabhi e aasman waalo,
main ek CHIDIYA ki aankhon mein udaane bhul aaya hu....