Translate
Friday, December 2, 2011
Thursday, November 24, 2011
Sad feelings
apni aankhon me humne jise basaa ke rakha,
saare jahaan se jise humne chhupa ke rakha.
wahi gam de gaya zindgi bhar ke mujhe...
jiski raahon me khud ko bichha ke rakha.
usi ne gul kiya mere dil ka chirag
raah me jiski khud ko jalaa kar rakha.
khushiyon ko meri aaj usi ne raund diya hai...
jis ki khaatir har saaj ko sajaa ke rakha.
badli hain usi ne nighaahein apni....
zameen se aasmaan par jise utha kar rakha..

Tuesday, September 27, 2011
Wednesday, September 21, 2011
jid
tere gurur ko ik din jaroor todunga,
tu aaftab (suraj) sahi bujha kar chhodunga.
bahut chaalaak samjhati hai khud ko tu ...
mujhe kasam hai teri ... tujhe paagal bana ke chhodunga.
tu aaftab (suraj) sahi bujha kar chhodunga.
bahut chaalaak samjhati hai khud ko tu ...
mujhe kasam hai teri ... tujhe paagal bana ke chhodunga.
kashish
apni gali se usne gujarane na diya,
khwabon mein itna khoya ki usne jaagne na diya.
phir kahne lage ki humse pyar nahi karte...
jab humne marna bhi chaha to humein marne na diya...
khwabon mein itna khoya ki usne jaagne na diya.
phir kahne lage ki humse pyar nahi karte...
jab humne marna bhi chaha to humein marne na diya...
imagination
tum mere sapno ki mallika ho
aur main "shayad" tere sapno ka shahzada...,
tu ab apna le mujhe ,
main chahunga tujhe JAAN se bhi zyada..
aur main "shayad" tere sapno ka shahzada...,
tu ab apna le mujhe ,
main chahunga tujhe JAAN se bhi zyada..
iqrar
tujhse iqrar ke vaaste baitha hu,
tu mud kar mere paas to aa...
tere liye gulaab thaame "class" k raaste baitha hu..
tu mud kar mere paas to aa...
tere liye gulaab thaame "class" k raaste baitha hu..
tere liye...
apni jindgi se khushiyan mita kar
teri jindgi khushiyon ki bahaaron se bhar dunga,
bas yakin to kr mujh par
.
.
.main teri raah me apna ye dil rakh dunga...
teri jindgi khushiyon ki bahaaron se bhar dunga,
bas yakin to kr mujh par
.
.
.main teri raah me apna ye dil rakh dunga...
Thursday, September 15, 2011
jeevan
kuch is tarah se maine jeevan sajaa liya,
tere har gham ko apna kar apni hasi banaa liya.
dil ne kaha bataana mat use isliye....
har dafaa ek naya chehra laga liya...
tere har gham ko apna kar apni hasi banaa liya.
dil ne kaha bataana mat use isliye....
har dafaa ek naya chehra laga liya...
Tuesday, September 13, 2011
yaadein
aaj mera dil udaas hai,
akelapan bas mere sath hai.
socha bhula du teri yaadon ko....
phir yaad aata hai ki inke shiva or kya mere paas hai..??
akelapan bas mere sath hai.
socha bhula du teri yaadon ko....
phir yaad aata hai ki inke shiva or kya mere paas hai..??
Wednesday, August 31, 2011
Saturday, July 9, 2011
Sunday, June 5, 2011
gam-e-mohabbat
meri mohabbat ki itni si kahaani hai,
tuti huyi kasti aur ruka hua paani hai.
ek GULAAB jo unki kitaab mein dam tod chuka hai,
aur unko yaad hi nahi ye kiski nishaani hai.
tuti huyi kasti aur ruka hua paani hai.
ek GULAAB jo unki kitaab mein dam tod chuka hai,
aur unko yaad hi nahi ye kiski nishaani hai.
dard
alvida kahkar jab woh chal diye,
in aankhon ne saare haseen khwaab kho diye.
gham ye nahi ki wo mujhe chhod gaye,
dard to tab hua jab alvida kahkar woh khud ro diye...
in aankhon ne saare haseen khwaab kho diye.
gham ye nahi ki wo mujhe chhod gaye,
dard to tab hua jab alvida kahkar woh khud ro diye...
duriyaan
jo najdik ho wahi door hua karte hain,
door ho to mazboor hua karte hain.
tum na samjho to tumhara koi kasoor nahi...
naasamajh log bekasoor hua karte hain.
door ho to mazboor hua karte hain.
tum na samjho to tumhara koi kasoor nahi...
naasamajh log bekasoor hua karte hain.
gajab
mere haal pe unka muskurana gazab tha,
bina baat mujhe unka sataana gazab tha.
milne ki baat chali to bahaana bana diya...,
aur bina vaade ke unka aana gazab tha...
bina baat mujhe unka sataana gazab tha.
milne ki baat chali to bahaana bana diya...,
aur bina vaade ke unka aana gazab tha...
khwahish
teri ek nazar ka pyasa hu main,
tu naa jaane kaisa tut ta taara hu main.
khwaahishein puri kar di maine sabhi ki...
par apni mohabbat ko paane ko aaj bhi haara hu main...
tu naa jaane kaisa tut ta taara hu main.
khwaahishein puri kar di maine sabhi ki...
par apni mohabbat ko paane ko aaj bhi haara hu main...
Friday, June 3, 2011
Saturday, May 28, 2011
jindgiiiiiii
phir na simategi agar chahat bikhar jayegi,
jindgi julf nahi jo yu hi sanvar jayegi.
agar koi khushiyaan de to uska daaman thaam lena,
meri jindgi hanskar na sahi ro-ro kar hi gujar jayegi...
jindgi julf nahi jo yu hi sanvar jayegi.
agar koi khushiyaan de to uska daaman thaam lena,
meri jindgi hanskar na sahi ro-ro kar hi gujar jayegi...
Sunday, April 17, 2011
Friday, April 1, 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)